Akhri Faisla
Lamha lamha jaise sarakta hai,
Dil aur bhi bebak ho dhadakta hai,
Jeevan ka kafila armano aur khwahishon ko lekar,
thodi aur dur chalne ko tadapta hai,
yaad aane lagati hain peeche chuti meethi baatein,
to kabhi sunahari yaadon ka bageecha mahakta hai,
tutkar bikharne lagte hain saare waade,
jhuthi tasalliyon se dil ab na bahalta hai,
lekin saasein ruki nahi hai abhi,
dhadkan ab bhi tumhare saath hai,
jaise chahoge waise hi aage badegi,
jeevan nauka ab bhi tumhare haath hai,
tum zindagi ko chunkar ko dekho,
aur zindagi bhi saharsh tumhe chun legi,
aa gayi hai faisle ki ghadi .....
abyeh mauka shayad zindagi fir na degi...........
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
beautiful lines...never thought u can write those too.. :)
Post a Comment